Meri Zindagi Ka Hasil Meri Zeest Ka Sahara Lyrics - Rah e IshqRah e Ishq - Yunus Emre - Meri Zindagi Ka Hasil Meri Zeest Ka Sahara Tere Aashiqon Mein Jeena Tere Aashiqon Mein Marna - Ammar Asad

Meri Zindagi Ka Hasil Meri Zeest Ka Sahara Lyrical video

Meri zindagi ka hasil meri zeest ka sahara

Tere aashiqon mein jeena tere aashiqon mein marna

Meri zindagi ka hasil meri zeest ka sahara

Tere aashiqon mein jeena tere aashiqon mein marna

Meri zindagi ka hasil

Mujhe kuch khabar nahi thi tera dard kiya hai ya rab

Mujhe kuch khabar nahi thi tera dard kiya hai ya rab

Tere aashqon se seekha tere sang e dar pe marna

Meri zindagi ka hasil

Yeh teri inayatein hain yeh teri madad ka sadqa

Yeh teri inayatein hain yeh teri madad ka sadqa

Meri jaan e natawan ka tera gham pe sabr karna

Meri zindagi ka hasil

Yeh teri a’ta hai ya rab yeh hai tera jazb e pinha

Yeh teri a’ta hai ya rab yeh hai tera jazb e pinha

Mera naala e nadamat tere sang e dar pe karna

Meri zindagi ka hasil

Mera har khata pe rona hai yehi meri talafi

Mera har khata pe rona hai yehi meri talafi

Teri rahmatoun ka sadqa mera jurm a’ffu karna

Meri zindagi ka hasil

Teri shaan e jazb hai yeh, teri banda parwari hai

Teri shaan e jazb hai yeh, teri banda parwari hai

Mere jaan o dil ka tujho ko hamawaqt yaad karna

Meri zindagi ka hasil

Hai ishi tarah se mumkin teri raah se guzarna

Hai ishi tarah se mumkin teri raah se guzarna

Kabhi dil pe sabr karna kabhi dil se shukr karna

Meri zindagi ka hasil

Yeh teri raza mein jeena Yeh teri raza mein marna

Yeh teri raza mein jeena Yeh teri raza mein marna

Meri abdiyat pe ya rabb yeh hai tera fazl karna

Meri zindagi ka hasil

Yehi a’ashiqon ka shaiwa yehi aashiqon ki a’adat

Yehi a’ashiqon ka shaiwa yehi aashiqon ki a’adat

Kabhi griya o baka hai kabhi aah e sard bharna

Meri zindagi ka hasil

Yehi ishq ki alamat yehi ishq ki zamanat

Yehi ishq ki alamat yehi ishq ki zamanat

Kabhi zikr ho zuban se kabhi dil mein yaad karna

Meri zindagi ka hasil

Kisi ahle dil ki sohbat jo mili kisi ko akhtar

Kisi ahle dil ki sohbat jo mili kisi ko akhtar

Usay aagaya hai jeeena usay aagaya hai marna

Meri zindagi ka hasil meri zeest ka sahara

Tera aashiqon me jeena tere aashiqon mein marna

Leave a Reply