Hum Deen e Muhammed Ke Wafadar Sipahi Lyrics
Hum Deen-e-Muhammad (s.a.w) kay wafa dar sipahi
Allah kay Ansaar o Madadgar Sipahi
Islam ki Azmat kay Nigehdaar Sipahi
Batil ki Khudai ko Gawara Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Khushnoodi-e-Rabb Maqsad-e-Hasti hai Hamara
Qur’an hi Dastoor e Asaasi hai Hamara
Qae’d bhi Muhammad (S.A.W) Sa Misali hai Hamara
Abb hum kisi Rehbar ki Tamanna na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Paigham e Sukoon Rahat e Jaan Leke Uthay Hain
Ek Souz e Yaqeen Azm e Jawan Leke Uthay Hain
Hum Jazba e Tameer e Jahan Leke Uthay Hain
Sangeeni Halat Ki Parwa Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Iqraar Hamara Hai Zamanay Ki Nazar Mein
Inkaar Hamara Hai Zamanay Ki Nazar Mein
Kirdaar Hamara Hai Zamanay Ki Nazar Mein
Hum apni hi tasweer ko ruswa na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Insaf Se Phir Aadmi Mun Moud Chuka Hai
Sachai Ka Paiman e Wafa Tod Chuka Hai
Daman e Yaqeen Sabr o Raza Choud Chuka Hai
Hum Zinda Raho Rasm e Kaleema Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Zahnon Se Har Ek Naqsh-e-kudoorat ko Mita ker
Tafreeq kay Bhardkay Huve Sholoun ko Bujha kar
Dum Lengay Hum Insaan ko Insaan say Mila ker
Aabaad Phir Ujda Huva Kashana Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Siddiq Ka Dil Zor e Ali Baqsh De Ya Rab
Fayyazi e Usman e Ghani Baqsh de Ya Rab
Farooq Ki Aaali Nigahi Baqsh De Ya Rab
Aarasta Phir Mehfil e Jana Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Dushman Se Tere Hum Koi Paiman Na Karengay
Jeene Ke Liye Maut Ka Saman Na Karengay
Ruswai e Millat Pe Charaghan Na Karengay
Aisa Na Karenge Kabhi Aisa Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay